Hello Friends. Aaj Mai Aap Logo Ke Liye Lekar Aaya Hu Ek New Topic . Aaj Ka Mera Topic Hai Android Phone Ko Root kaise kare? Dosto Maine Apni Pichli Post Me Btaya Tha Ki Android Phone Me Root Kya Hota Hai? Or Uske Advantage as well as Disadvantage Kya Kya Hai. Agar Aapne Pichhli Post Nhi Padhi Hai . To Aap Apne Phone Ko Root Bnane Se Pehle Post Ko Jarur Padhe.
Niche Di Gayi Link Par Click karke Aap Padh Sakte Hai-
Android Phone me Root kya hota hai?
Android Phone Ko Root Karne Se Pehle Kya Kya Kare?
° Android Phone Ko Maximum 70% Charge Karle.
°Apne Android Phone Ke Data Ka Backup Jarur Karle Kyoki Agar Aap Ke Phone Data Wipe Ho Gya To Aap Ke Dwara Bnaye Gaye Backup Se Restore Ho Sakta Hai?
° Apne Android Phone Me Unknown Source Enable Karle.
Androi Phone Ko Root Karne Ke ii Type Hote Hai:-
° With Pc
° Without Pc
To Sabse Pehle Mai Btaunga Ki Pc Se Kaise Root Bnate Hai?
Pc ki Help Se Android Phone Ko Root Karna:-
Aap Sabse Pehle Kingo Root Software Ko Apne Computer Pr Install Kar le. KingoRoot Software Ko Aap Nichhe Di Gayi Link Se Install Kar Sakte Hai .
Kingo Root Software
Kingo Root Aap Download Hone Bad Jab Aap Iss Install Karke Open Karenge To Aapki Computer Screen Par "Not Connected" Show Hoga . Iska Matlab Ye Hai Ki Apka Phone Pc Se Connect Nhi Hai.
Apne Phone Ko Pc Se Connect Karne Se Pehle Mobile Phone Ki Setting Me Jakar Developer Options Enble Kar le Or Usb Dubbing Par Tick Karle.
Developer Options Me Jane Ke Liye .
Setting/Developer
Ab Aap Apne Phone Ko Pc Se Connect Kar Sakte Hai.PC se Connect Hone Ke Bad Me Aapko Root Karne Ka Options Milega.
Usme Likhi Setting Ko Follow Kijiye Or Root Par Click Kijiye. ROOT ke Process Khatam Hote He Aapko Pc Me Finish Ka Options Milega Us Pr Click Karen
Aap Ka Android Phone Root Ho Chuka Hai.
Android Phone Ko Without Pc Se Kaise Root Kare?
Dosto Ye Topic Un Logo Ke Liye Hai . Jo Apna Phone Root Karna Chahte Hai . Lekin Unke Pas Computer Nhi Hai. Iss Process Me Aapko Computer Ki Jarurat Nhi Padegi . Aapko Apne Phone Ko Root Bnane Ke Liye Ek App Install Karna Hai Apne Phone Me . To Frends Chalte Hai Apne Agle Process me.
Step1: Apko Sabse Pehle Apne Android Phone Par Kingroot Application Download Karna Hoga.Isse Download Karne Ke Liye Nichhe Di Gayi Link Par Click Karke Aap Downlod Kar Sakte Hai.
Step2: KingRoot Application Download Hone Ke Bad Aap Apne Phone Par Install Kar Lijiye.
Step3: KingRoot Apps Install Hone Ke Bad . Aap Use Open Karle . Open Karne Ke Bad Aapko Root Ka Options Milega . Us par Click Kar lijiye.
Step4: Ab Apke Phone Ki Rooting Process Start Ho Jayegi. Aur Jab 100% Process Puri Ho Jaye . Tab Aapko ROOT ka Options Show Hoga Us Par Aap Click Kijiye.
AB Aapka Phone ROOT Ho Chuka Hai. Apne Android Phone Ka Root Access Check Karne Ke Liye Aapko Root Checker Ki Jarurat Padegi . Aap Nichhe Di Gayi Link Par Click Karke Download Kar Sakte Hai.
Download Root Checker
Download King Root
Frienda Aapko Meri Post Achhi lgi HO To Aap Comment Or Share Jarur Kariyega Jisse Mai Aapki Help Kar saku .